Lyrics of song

So Gaya Sara Zamana

so gaya saara zamaana, neend kyun aati nahin (2)
aye hawaa jaa kar use tu saath kyun laati nahin (2)
So gaya saara zamaana…………..

chaand pahele bhi nikalta tha magar aisa na tha (2)
aaj aisi baat kyun hai kuchh samajh aati nahin (2)
So gaya saara zamaana…………..

chaandni kuchh chaand se keh kar zameen pe aa gaee (2)
jaane kyaa dekha yahan ab louT kar jaati nahin (2)
So gaya saara zamaana…………..

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *