Lyrics of song

Suuna Mandir Mera Sakhi Ri

suuna mandir mera sakhi ri
jagamag jagamag dip jalaayuun
pi bin phir bhi andhera sakhi ri

pi ko dhuundhuun main kunjan mein
bola koyi pi pi ban mein
ye to papihaa, piya nahin hai
pi bin rain savera sakhi ri

nain jharoke suune saare
suune hain palakon ke dwaare
bin saajan ye raaj bhavan bhi
hai jogi ka dera sakhi ri

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *