Lyrics of song

Tera Aana Ik Pal Meri, Saanson Ka Tham Jaana

tera aana ik pal meri, saanson ka tham jaana – 2
teri-meri saanson ka hai, rishta kya anjaana

tera aana ik pal meri, saanson ka tham jaana

mere tan mein, mere man mein – 2
jaagi ye jhankaar kya
naram labon ko chhu gaya jaise pahala chumban pyaar ka
baawara man mera chhed ke puuchhe
ye tujhe kya huwa, kya huwa

tera aana ik pal meri, saanson ka tham jaana
teri-meri saanson ka hai, rishta kya anjaana
tera aana ik pal meri, saanson ka tham jaana

deke lena, leke dena – 2
rasm hai sansaar ki
sab kuchh de ke kuchh na lena, aadat hai ye pyaar ki
aa gale milake puuchh le mujhase
tuune ye kya kiya, kya kiya

tera aana ik pal meri, saanson ka tham jaana
teri-meri saanson ka hai, rishta kya anjaana
tera aana ik pal meri, saanson ka tham jaana

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *