Lyrics of song

Tera Saath Hain Kitna Pyara

tera saath hai itana pyaara  -2
kam lagta hai jeevan saara
tere milan ki lagan mein
hamein aana padega duniya mein dubaara  -2

maine tan man tujh par vaara
pyaas bujhi na karke nazaara
tere milan ki lagan …

jitni tujhamein hai ada ( utni hi vafa )  -2
jitna jahaan mein pyaar hai ( tujhse mujhe mila )  -2
badhti hi jaaye ye betaabi badhti jaaye ye betaabi
jitana karoon nazaara
hamein aana padega …

pyaar ke ek ek pal pe hain ( sau jeevan qurbaan )  -2
pyaar kabhi marta nahi ( marte hain insaan )  -2
pyaar usi ka jeevan hai jo tere saath guzaara
hamein aana padega …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *