Lyrics of song

Teri Shokh Nazar Ka

teri shokh nazar ka ishaara
meri viraan raaton ka taara – 2

lata:
teri baanhon ka jab hai sahaara
piya majhadhaar bhi hai kinaara – 2

mukesh:
teri shokh nazar ka

nikale hain raahi masti men doobe
manzil ka kya hai, mile naa mile

lata:
tum saath ho to qismat se apani
shiqave kahaan ke kahaan ke gile

mukesh:
o ji o teri shokh nazar ka

lata:
ik khwaab sa hai ya hai kahaani
kuchh hai yaqeen kuchh yaqeen bhi nahin

mukesh:
hum to yah jaanen sach hai ya sapana
jo tum nahin ho to, hum bhi nahin

lata:
o ji o teri baanhon ka jab hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *