Lyrics of song

Tu Mila To Mili Aisi Jannat

tu mila to mili aisi jannat mujhe,
ab kisi aur jannat ki parwaah nahi

tu mila to mili aisi jannat mujhe,
ab kisi aur jannat ki parawah nahi

mit gaye faasle kam huwi duriyaan…
khatam hone ko hain sari majbooriyan

waqt ne baksh di aisi raahat mujhe
ab kisi aur raahat ki parwaah nahi

tu mila to mili aisi jannat mujhe,
ab kisi aur jannat ki parawaah nahi

jaane kya kya hamein log kehte rahe
rooh tadapti rahi hans ke sehte rahe

jaane kya kya hamein log kehte rahe
rooh tadapti rahi hans ke sehte rahe

jo tere pyar ne di muhabbat mujhe
ab kisi bhi muhabbat ki parwah nahi

tu mila to mili aisi jannat mujhe,
ab kisi aur jannat ki parawah nahi

aik mudat isi kashmukash mein rahi
jis ki thi aarzo baat woh ban gai

khuwab lagte hein saare haqeeqat mujhe
ab kisi bhi haqeeqat ki parwah nahi

tu mila to mili aisi jannat mujhe,
ab kisi aur jannat ki parawah nahi

tu mila to mili aisi jannat mujhe,
ab kisi aur jannat ki parawah nahi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *