Lyrics of song

Tum Jiyo HAzaro Saal

tum jiyo hazaaron saal
saal ke din hon pachaas hazaar

sooraj roz aata rahe roz gaata rahe
leke kiranon ke mele
palachhin kaliyaan gin gin tera har din
tab tak rangon se khelen
rang jab tak baaki hai bahaaron mein
tum jiyo hazaaron saal
saal ke din hon pachaas hazaar …

yahaan vahaan shaam ho chaahe jahaan
yoon hi jhoome shama sunake tumhaari baaten
pyaar liye chaand ka teeka liye
yoon hi juganu liye chamake tumhaari raaten
noor jab tak baaki hai sitaaron mein
tum jiyo hazaaron saal
saal ke din ho pachaas hazaar …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *