Lyrics of song

Tumehn Dil Diya

tumhen dil diya
ye kya kiya main ne  -2
duniya ka dard le liya main ne
tumhen dil diya
ye kya kiya main ne
duniya ka dard le liya main ne

kya bhale din the vo  -2
nazaron mein tum samaaye na the
kabhi bhari thandi saans nahi thi
aur aankhon mein aansu aaye na the
ab roti hoon main  -2
kya kiya haay! kya kiya main ne

tumhen dil diya …

ab haal ye ho gaye hamaare  -2
sada bheege rahe nainon ke kinaare
o jaanevaale main pukaaruun tu ek baar to a  -2
mere rote hue dil ko ye baat bata
bhala kiya ya bura kiya
haay! bura kiya main ne

tumhen dil diya …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *