Lyrics of song

Tumhare Liye

Saanson ka hai ye bandhan, tumhare
Ye mere dil ki dhadkan, tumhare
Dekhe the jo bhi sapne ab ho gaye hain apne
Main to bani hoon saajan tumhare liye, tumhare liye
Tumhare liye haan tumhare liye
Saanson ka hai ye bandhan, tumhare
Ye mere dil ki dhadkan, tumhare

Palkon mein apni chupa lo mujhe, umarbar
Nazaron se dil mein basaya tumhe, humsafar
Palkon mein apni chupa lo mujhe
Nazaron se dil mein basaya tumhe, basaya tumhe
Halka sa ik nasha hai, mujhko bhi kuch hua hai
Behka hua hai saavn tumhare liye, tumhare liye
Tumhare liye haan tumhare liye

Hmmm chupke se kaano mein kya keh gayi, ye hawa
Main ban gayi hoon tere dard-e-dil, ki dawa
Chupke se kaano mein kya keh gayi
Main ban gayi dard-e-dil ki dawa, dil ki dawa
Yun bekhudi mein hum tum, chalte rahenge hum dum
Bajti hai pyaar ki dhun tumhare liye, tumhare liye
Tumhare liye haan tumhare liye

Saanson ka hai ye bandhan, tumhare liye
Ye mere dil ki dhadkan, tumhare liye
Dekhe the jo bhi sapne, ab ho gaye hain apne
Main to bani hoon saajan tumhare liye, tumhare liye
Tumhare liye hmmm tumhare liye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *