Lyrics of song

Tumhein Dillagi Bhool

Tumhain dillagi  bhool jaani paray gi
Muhabbat ki rahoon main aa kar tu daikhoo

zakaham pay zakham kha kay ji
apnay lahoo k ghoont pi
aah na kar laboon ko si
ishq hay dil lagi nahi

yeh Ishq nahi aasaan
bas itna samjh li jiay
ek aag ka darya hay aur koud kar jana hay
Tumhain dillagi  bhool jaani paray gi
Muhabbat ki rahoon main aa kar tu daikhoo

Tarapnay pay meray na phir tum hansoo gay
Kabhi dil kissi say laga kar tu daikhoo

khuda k liay chour do ab yeh parda
rukh say naqab utha keh bari dair ho gaiee
mahool ko talawat-e-qura’ an kiay huway
ham na samjhay teri nazroon ka taqaza kia hay
kabhi parda kabhi jalwa yeh tamasha kia hay
keh hain aajj ham tum nahi ghair koi
shab-e-wasal bhi hay hijaab is qadar kion
zara rukh say aanchal utha kar tu daikhoo
wafaoon ki ham say tawaqo nahi hay
magar aik baar aazma kar tu daikhoo
zamanay ko apna bana kar tu daikha
humain bhi tum apna bana kar tu daikhoo
Tumhain dillagi  bhool jaani paray gi
Muhabbat ki rahoon main aa kar tu daikhoo

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *