Lyrics of song

Tune Mujhko Deewana Kiya

ek umra ka safar ek pal main kat gaya
jinda toh hu magar tukdo main bat gaya – 2
tune mujhko deewana kiya kutch is kadar
ek tere siwa kutch na aaye nazar

(tune mujhko deewana kiya kutch is kadar
ek tere siwa kutch na aaye nazar – 2 ) – 2
tu hi tu dekhu jidhar
ek tere siwa kutch na aaye nazar – 2

ho teri adaa sabse juda main ho gaya tujhpe fida – 2
mera dil anjaana, bana tera nishana
zakhm aaisa laga hain
mushkil hain batana
tera mera afsaana
tere yaadon main khoya raha shamo sawer
ek tere siwa kutch na aaye nazar – 2

tu humsafar tu zindagi maine kiya tujhpe yakeen – 2
toot ke tujhko chahu, jindagani lutau
bas teri dhadkanon ko apne dil main chupau
loot jau meet jau
tere pyar ne kutch aaisa kiya mujhe bekhabar
ek tere siwa kutch na aaye nazar – 2
tune mujhko deewana kiya kutch is kadar
ek tere siwa kutch na aaye nazar – 4

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *