Udaas Udaas Fizaaon Mein
udaas udaas fizaaon mein noor chhalakaao
bujhe bujhe hue taaron ko hans ke chamakaao
gurur-e-husn salaamat na raah dikhalaao
rabag doob gayaa, khoone ab to a jaao (?)
aana hi padegaa, aana hi padega
sar ishq ke kadamon pe jhukaana hi padega
aana hi padega
( nagama mera har saans mein ras ghol raha hai
is saans ke parade mein khuda bol raha hai ) – 2
chheda hai agar saaz to gaana hi padega – 2
sar ishq ke kadamon pe jhukaana hi padega
aana hi padega
aana hi padega a a
( tapakega lahu dard bhare raag se kab tak
khelegi teri mast ada aag se kab tak ) – 2
is khel mein ab haath jalaana hi padega – 2
sar ishq ke kadamon pe jhukaana hi padega
aana hi padega
aana hi padega a a
( ulfat kabhi duniya se daregi na dari hai
phoolon se javani ne sada maang bhari hai ) – 2
hansane ke liye zakhm to khaana hi padega – 2
aana hi padega – 4