Lyrics of song
Wo Dil-Nawaaz Hain Lekin Nazar Shanaas Nahin
wo dil-nawaaz hain lekin nazar shanaas nahin
mera ilaaj mere chaaraagar ke paas nahin
kabhi kabhi jo tere kurb mein guzaare the
ab un dinon ka tasavvur bhi mere paas nahin
guzar rahe hain ajab marahalon se didaa-o-dil
sahar ki aas to hai zindagi ki aas nahin
mujhe ye dar hai teri aarazuu na mit jaaye
bahut dinon se tabiyat meri udaas nahin
tere dilon mein bhi dil kaanp kaanp uthata hai
mere majaaj ko aasuudagi bhi raas nahin
tadap rahe hain zabaan par kayi sawaal magar
mere liye koyi shaayaan-e-iltamaas nahin