Lyrics of song

Woh Kisna Hai

Woh hai Rangeela
Chail chabeela
Woh hai natkhat
woh jamunatat
phere lagaye murli bajaye
Gopiyon ke sang raas rachaaye
Murli bajaiyaa raas rachaiyaa
shyam salona hai

jo hai albela madnainowala
jiski deewani brij ki har bala
woh kisna hai,woh kisna hai
woh kisna hai,woh kisna hai
kisna hai

jo hai albela madnainowala
jiski deewani brij ki har bala
woh kisna hai,woh kisna hai
woh kisna hai,woh kisna hai

pyar mein doobi,pyar mein khoyi
pyar ki dhun mein jaagi na soyi
pyar mein doobi,pyar mein khoyi
pyar ki dhun mein jaagi na soyi
duniya se hai woh anjaani
sab kehte hai prem deewani
kisna se milti hai bhool ke har bandhan
kisna ki hi mala japti hai woh jogan

Nainon mein sanson mein mann mein kisna
har pal hai jeevan mein jiske kisna
woh radha hai
woh radha hai, woh radha hai
Radha hai

Madhur madhur sa roop hai jiska
shwet shwet rang jiska
sundar tan man sundar chitwan
sundar hai ang jiska
pyar hai sgar se bhi gehra
kisna ke sang jiska

woh radha hai
woh radha hai, woh radha hai
Radha hai

jo hai albela madnainowala
jiski deewani brij ki har bala
woh kisna hai,woh kisna hai
woh kisna hai,woh kisna ha

Nainon mein sanson mein mann mein kisna
har pal hai jeevan mein jiske kisna
woh radha hai
woh radha hai, woh radha hai
Radha hai

woh kisna hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *