Lyrics of song

Yaar Bina Chain Kahaan Re

yaar bina chain kahaan re
pyaar bina chain kahaan re
sona nahin chaandi nahi
yaar to mila, are pyaar karle – 2

koi naya sapana nigaahon mein to hain
koi naya saathi nayi raahon mein to hain
dil jo milenge takdeer banegi
jindagi ki nayi tasweer banegi
pyaar mein ye dil bekaraar karle
yaar bina chain kahaan re
pyaar bina chain kahaan re
sona nahin chaandi nahi
yaar to mila, are pyaar karle – 2

yaar hame paisa nahin pyaar chahiye
koi man chaha dildaar chahiye
hire moti aise jahaan dil na toole
sapano ka koi sansaar chaahiye
ye bhi hoga thoda intzaar karale
yaar bina chain kahaan re
pyaar bina chain kahaan re
(sona nahin chaandi nahi
yaar to mila, (are pyaar karle- 2) – 2

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *