Lyrics of song

Ye Kushi Ka Samaan Zindagi Hai Jawaan

ye kushi ka samaan
zindagi hai jawaan
aa nigaahein mila ke to dekh
kah rahi hai fiza
do ghadi musakara
dil ki duniya basa ke to dekh

(mausam naya aa gaya
le kar fasaane naye) – 2
kahati hai ye bekudi
ga le taraane naye

(aanhon se masti luta
dil ko machalana sikha) – 2
dil ki kushi ke liye
duniya ko tu bhuul ja

ye kushi ka samaan
zindagi hai jawaan
aa nigaahein mila ke to dekh
kah rahi hai fiza
do ghadi musakara
dil ki duniya basa ke to dekh

(ulfat ki raahon mein aa
daaman ko rangin bana) – 2
dil ke jahaan ko badal
apana muqaddar jaga

ye kushi ka samaan
zindagi hai jawaan
aa nigaahein mila ke to dekh
kah rahi hai fiza
do ghadi musakara
dil ki duniya basa ke to dekh

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *