Lyrics of song

Ye Rishta

koi sacche khwab dikhakar
aankhon mein samaa jataa hai
ye rishta…
ye rishta kya kehlata hai – 4

jab sooraj dhakne lagta hai
aur dhoop simatne lagti hai
koi anjaani si cheez meri saanson se lipatne lagti hai
main dil ke kareeb aa jati hoon, dil mere kareeb aa jata hai
ye rishta kya kehlaata hai – 2

iss gumsum jheel ke paani mein
koi motiyan kar deta hai
ek naay saawan mein lagta hai, aur kadke aabar ban jaata hai
yeh rishta kya kehlaata hai – 4

tasveer banati rehti hoon
main tuti huyi aawaazon par
ek chehra dhoondi rehti hoon, deewar kabhi darvazon par – 2
main apne paas nahin rehti aur door se koi bulata hai
ye rishta kya kehlaata hai – 4

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *