Lyrics of song

Yea Zameen Hai Yeh Aasman

Yeh jawani jawani us pe aayi pareshaani
Apni mat mari, mat mari, har taraf na aamdani
Yeh zameen hai, aasman hai
Aur beech mein hain hum
Mare mare hai re hai re
Mare mare hai re hai

Na jaanoo kya maanoo
Kis kis ko pehchanoo
Yeh bhi jaanoo woh bhi jaanoo
Ab mein na kisi ko manoo
Yeh zameen hai, aasman hai..

Bhatak rahe hain, ke manzil hai kahin
Dhoond rahe hain, ek nayi zindagi
Sab ko mile, sab mile, aur ho na kamee
Yeh beqaraari, qaraari, yeh beqaraari
Yeh tanhayi, hai aayee
Us pe aayee yeh judai
Yeh zameen hai, aasman hai..

Kis se mile hum, koi apna nahin
Hain fariyaadein, to kya kare koi
Ab seh seh kar gham piye jaate hain
Yeh zamaana, zamaana, naa pehchaana
Ab kya jataana, pachtaana
Sab ko hai bhool jaana
Yeh zameen hai, aasman hai..

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *