Lyrics of song

Yeh Kaisa Uthaan Hain

yeh kaisa uthaan hain aaina bhi khudse anjaan hain
yeh kaisi udaan hain jiska na koi makaam hain
manzilon ki durri ghatti nahi hain
raahen seedhi milti nahi hain
sapnon ka peechha karte hain saare
kaise utaare zameen pe sitaaren
dhunde sabhi yahaan wahaan kaun hain kahaan
yeh kaisa uthaan hain aaina bhi khudse anjaan hain
yeh kaisi udaan hain jiska na koi makaam hain
yeh kaisa uthaan hain

kare yeh mohabbat nakabon ke pichhe
jise dekho wohi aapni or khinche
bulandi pe shohrat jhilmila rahi hai
kaise mile kadam tadpa rahi hai
hone laga jeevan safar dhuaan dhuaan sa
yeh kaisa uthaan hain aaina bhi khudse anjaan hain
yeh kaisi udaan hain jiska na koi makaam hain
yeh kaisa uthaan hain

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *