Lyrics of song

Yeh Pyar Kya Hain

–FEMALE 1–
Aiya ya ya ya

[ M ]
Yeh pyaar kya hei kisi ne na jaana – 2
Sab ki zubaan pe magar ye fasaana

–FEMALE 1–
Jaadu hei ye kya pata
Kab kis pe ye chal gaya

–FEMALE 2–
Shola hei ye kya khabar
Kab kiska dil jal gaya

[ M ]
Yeh pyaar kya hei kisi ne na jaana
Sab ki zubaan pe magar ye fasaana

Pehle zara dil thaam lo – 2
Phir pyaar ka naam lo
Na kuch kaho, na kuch suno
Aankhon se ye kaam lo

–FEMALE 1–
Sab ke liye pyaar ka
Yeh phool khilta nahin

–FEMALE 2–
Sab ko magar pyaar ka
Yeh gham bhi milta nahin

[ M ]
Yeh pyaar kya hei kisi ne na jaana
Sab ki zubaan pe magar ye fasaana

–FEMALE 1–
Aiya ya ya ya

[ M ]
Is pyaar mein dil pe kabhi – 2
Kuch zor chalta nahin
Is dil mein jo bas jaaye voh
Dil se nikalta nahin

–FEMALE 1–
Kuch log to haar ke
Kya kuch nahin kar gaye

–FEMALE 2–
Unka bhi to naam lo
Chupke se jo mar gaye

[ M ]
Yeh pyaar kya hei kisi ne na jaana
Sab ki zubaan pe magar ye fasaana

–FEMALE 1–
Jaadu hei ye kya pata
Kab kis pe ye chal gaya

–FEMALE 2–
Shola hei ye kya khabar
Kab kiska dil jal gaya

[ M ]
Yeh pyaar kya hei kisi ne na jaana
Sab ki zubaan pe magar ye fasaana

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *