Lyrics of song

Yeh Zindagi usi ki hain

yeh zindagi usi ki hai jo kisi ka ho gaya
pyaar hi mein kho gaya
yeh zindagi usi ki hai jo kisi ka ho gaya
pyaar hi mein kho gaya
yeh zindagi usi ki hain …

yeh bahaar yeh sama keh raha pyaar kar
kisiki aarzoo mein apne dil ko beqarar kar
zindagi hai bewafa loot pyaar ka mazaa
yeh zindagi usi ki hai …

dhadak raha hain dil to kya dil ki dhadkane na gin
phir kahaan yeh phursatein phir kahaan yeh raat din
aa rahi hain yeh sada mastiyon mein jhum jaa
yeh zindagi usi ki hain …

do dil yahaan na mila sake, milenge us jahaan mein
khilenge hasaraton ke phul, maut ke aasman mein
ye zindagii chali gai jo pyar mein to kya huaa
ye zindagii …

sunaa rahii hai daastaan, shamaa mere mazaara kii
fizaa mein bhii khil rahii, ye kalii anaara kii
ise mazaara mata kaho, ye mahala hai pyaara kaa
ye zindagii …

ai zindagii ki shaama aa, tujhe gale lagaauun main
tujhii mein Dub jaauun main
jahaan ko bhuula jaauun main
basa ek nazara mere sanama, alvidaa, alvidaa
alvidaa …
alvidaa …
alvidaa …
alvidaa …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *