Lyrics of song

Zamaane Ko Ab Tak Nahi

zamaane ko ab tak nahi hai pataa
agar ho gayi hamse koi khataa
kahi shor mach gaya to kya hoga kya hoga kyaa hoga
zamaane ko ab tak nahi hai pataa

dekh na aaisi nazaro se bechain dil ghabraataa hai
bin tujhe dekhe dil par ab chain kahi na aataa hai
chhodo sharaarat karnaa aise mohabbat kar naa
thodaa behak jaane do nazadeek to aane do
deewaane zaraa mujhko itnaa bataa
agar ho gayi hamse koi khataa

kyun karen na pyaar hum mauqaa bhi hai tanhaai bhi
dhadkane betaab hain mausam bhi hai angadaai bhi
gori mera dil kab se moti chura lu lab se
baahon mein baahein daalo mujhko gale se lagaa lo
tumhein dekh kar ho rahaa hai nashaa
agar ho gayi hamse koi khataa

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *