Lyrics of song

Zindagi Pyar Ka Geet Hai

Zindagi pyar ka geet hai
Ise har dil ko gana parenga
Zindagi pyar ka geet hai
Ise har dil ko gana parenga
Zindagi gham ka sagar bhi hai
Hanske uspaar jana parenga

Zindagi ek ahsaas hai
Toote dil ki koi aas hai (2)
Zindagi ek banwas hai
Kat kar sabko jana parega
Zindagi pyar ka geet hai
Ise har dil ko gana parenga

Zindagi bewafa hai to kya
Apne ruthe hai hamse to kya (2)
Haath me haath na ho to kya
Saath phir bhi nibhana parenga
Zindagi pyar ka geet hai
Ise har dil ko gana parenga

Zindagi ek muskan hai
Dard ki koi pehchaan hai (2)
Zindagi ek mehmaan hai
Chhor sansar jana parenga
Zindagi pyar ka geet hai
Ise har dil ko gana parenga
Zindagi gham ka sagar bhi hai
Hanske uspaar jana parenga

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *