Lyrics of song

Aankhein Milaaenge Baatein Sunaaenge

aankhein milaaenge baatein sunaaenge
palkein bichhaaenge zulfein bikharaaenge
phir kisi din
aaj kya karenge
ho aaj sirf gaana gaaenge
aankhein milaaenge baatein sunaaenge
palkein bichhaaenge zulfein bikharaaenge
phir kisi din
bhayi aaj kya karenge
ho aaj sirf gaana gaaenge

gaane ke liye yahaan aana kya zaruuri tha
jaane ke liye ye bahaana kya zaruuri tha
achchha maan jaate hain nahin tadapaate hain
ye baat hui na
la la la la la la la la
mil ke laharaaenge kabhi paas aaenge
kabhi paas aaenge kabhi duur jaaenge
phir kisi din
oho aaj kya karenge
ho aaj sirf gaana gaaenge

pyaar mein gilein shikawein ka mauka deti ho
ghar se bula ke raste mein dhokha deti ho
achchha chalothik hai kuchh bhi ho prit hai
waada raha na
haan waada  
la la la la la la la la
prit ye nibhaaenge aankhon mein basaaenge
tum ko na rulaaenge hasenge hasaaenge
phir kisi din
bhayi aaj kya karenge
ho aaj sirf gaana gaaenge

aankhein milaaenge baatein sunaaenge
palkein bichhaaenge zulfein bikharaaenge
phir kisi din
to aaj kya karenge
aaj sirf gaana gaaenge

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *