Lyrics of song

Aawaz – Main Hoon Tum Ho Aur Khamoshi

Main hoon, tum ho, raat hain, aur khaamoshi – 3
Kaano me aawaaz ka ras tum ghol rahi ho
Koyal bol rahi hai ya tum bol rahi ho
Main hoon, tum ho, raat hai, aur khaamoshi

Shaam teri aawaaz me khoyi khoyi si, mausam pal pal tere sapane bunata hain
Behate paani ke mithe halkaaro me, dil mera aawaaz tumhari sunata hai
Kaliya khilti hain ya tum lab khol rahi ho
Koyal bol rahi hai ya tum bol rahi ho
Main hoon, tum ho, raat hain, aur khaamoshi

Yu tere honton se labj nikalate hain, kali raat me jaise chaand nikalata hai
Saanj adhura hai teri aawaaz bina, nagama tera haath pakadkar chalata hai
Tum anmol ho aur sada anmol rahi ho
Koyal bol rahi hai ya tum bol rahi ho
Main hoon, tum ho, raat hain, aur khaamoshi

Tu khushbu si bikhari hai har taraf mere, main deewaana tere suron pe marta hoon
Isase badhakar aur mohabat kya hogi, main teri aawaaz ko sajata karata hoon
Tum mujhame chhupkar kuch mujhase bol rahi ho
Koyal bol rahi hai ya tum bol rahi ho
Main hoon, tum ho, raat hain, aur khaamoshi – 2
Kaano me aawaaz ka ras tum ghol rahi ho
Koyal bol rahi hai ya tum bol rahi ho
Main hoon, tum ho, raat hain, aur khaamoshi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *