Lyrics of song

Bhanwara Madhuban Mein Mat Ja

e bhanwara
madhuban mein mat ja re bhanwara
madhuban mein mat ja
abhi kamal ki kali khili na  – 2
tu kyuun guunj raha re bhanwara  – 2
madhuban mein mat ja re bhanwara
madhuban mein mat ja

ruup-rang ka lobhi-rasiya  – 2
sab ke gun mat ga o rasiye
sab ke gun mat ga
neh laga le ek kali se  – 2
kali-kali mat ja re bhanware  – 2
madhuban mein mat ja re bhanwara
madhuban mein mat ja

kis kaaran tu pad gaya kaala  – 2
itani baat bata o rasiya
itani baat bata
udana sikha nahin kali ne  – 2
man mein dhiraj la re bhanwara  – 2
madhuban mein mat ja re bhanwara
madhuban mein mat ja

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *