Lyrics of song

Ek din Shaam Ko

ek din shaam ko main tha baitha
timepaas karne tv dekha
tv pe tab ek ladki aayi
jhatak ke usne kamar hilaai
hirni ki jaisi kamar ko dekh ke
maine toh apani akal gawai
josh mein aake maine bhi apani
kamar ke size ki kamar hilaaai
arey arey arey arey arey mere bhaai
mat poocho maine haalat kya banaai
haai kamar – 2 toot gayi re meri kamar
khiski woh apani jagah se hatkar mujhe chhodo haai phoot phoot kar
jahaan bhi jaaun idhar udhar
sabhi ki jaaye usi par nazar
 
thik karane usko phir main pahuncha doctor ke ghar par
kamar ko dekha phir woh bola thik karega bhais ka doctor
ulta sulake usne mujhko donon taraf se aaise khicha
bhaison ke bhi kaan phat jaaye utni zor se phir main cheekha
arey arey arey arey arey mere bhaai
mat poocho maine haalat kya banaai
haai kamar – 2 toot gayi re meri kamar
?? hoon ab shakira ko kar dunga main uski shakkar
o brother – 2 baat suno tum meri brother
dekh ke kisiki patli kamar
mat hilana ab tum bhi kamar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *