Lyrics of song

Ho Nadiya Kinaare Nain Hamaare Tohe Nihaarein

ho nadiya kinaare nain hamaare tohe nihaarein
haay re dayiya uyi mori mayiya paanv mein chubh gaya kaanta
kaise chaluun man mein jaluun main koyi mujhe le jaata
ho nadiya kinaare

haay re haay kaisa julam hai
nadiya ke paar mora balam hai
baar-baar bole ye mori paayaliya o mere sajana a aaja
ho das rahe hain hamako sab nazaare – 2
ho nadiya kinaare

aaja pukaaruun main tohe sajani
man ko jalaaye biraha ki agani
aaj tujhe hai prit nibhaani
bit na jaaye rut yah suhaani
ho a tadap rahe hain bin tihaare – 2
ho nadiya kinaare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *