Humein Maaf Karna Khata Hai Hamaari
tumhein chumati hai – 2, nigaahein hamaari – 2
humein maaf karna, (khata hai hamaari – 2) – 2
izaazat nahi humne tumhaari – 2
humein maaf karna (khata hai hamaari – 2)
(khata hai magar hai badi khubsurat
hoti hai yeh har dil ki jaroorat) – 2
(sine mein mere bhi dil hi toh hai
nahi hoon main koyi paththar sanam) – 2
majboor hai yeh – 2, nigaahein bechaari – 2
humein maaf karna, (khata hai hamaari – 2)
(iraada main dil ka badal na sakunga
dooba hoon tum mein nikal na sakunga) – 2
(chumunga honto se abb main tumhein
khaayi hai maine tumhaari kasam) – 2
hone do puri – 2, yeh khwaaish hamaari – 2
humein maaf karna, (khata hai hamaari – 2)