Lyrics of song

Jabse Asli Roop Sabka


jab se asli roop sabka – 2 maine dekha hain
ab koi sadma mere dil par nahi lagta – 2
doston se na milo – 2 takleef hoti hai
faayda hai ??? mein khanjar nahi lagta – 4
jab se asli roop sabka

inke chehre par lage rehte hai sau nakaab
ham bhi samajh paaye nahi kaante hai ya gulaab
inke chehre par lage rehte hai sau nakaab
ham bhi samajh paaye nahi kaante hai ya gulaab
har kadam par yaad inke aate hai sitam
likhne baitho toh banegi inpar ek kitaab inpar ek kitaab
yaaron ne bheje hain – 2 woh phool chubhte hain
gair ka phenka huaan pathhar nahi lagta – 2
jab se asli roop sabka

pehle toh har raat mein hote hai yeh shaamil
doston gumraah karke todte hai dil
pehle toh har raat mein hote hai yeh shaamil
doston gumraah karke todte hai dil
phir sitam hai ke yeh hamdardi bhi karte hai
vaar woh karte hai jo kar paaye na qaatil kar paaye na qaatil
doston ke naam se – 2 ham kaanp jaate hain
dushmanon ki dushmani se darr nahi lagta – 2
jab se asli roop sabka

apane matlab ke siva karte nahi yeh baat
naapte hai paiso se yeh yaar ke haalaat
apane matlab ke siva karte nahi yeh baat
naapte hai paiso se yeh yaar ke haalaat
inka kaam nikal jaaye toh ho jaate hai duur
kaise jaanenge bhala yeh auron ke jasbaat auron ke jasbaat
kya kare ham dekhkar – 2 duniya ki dilkashi
ab suhan a koi bhi manzar nahi lagta – 2
jab se asli roop sabka – 2 maine dekha hain
ab koi sadma mere dil par nahi lagta – 2
doston se na milo – 2 takleef hoti hai
faayda hai ??? mein khanjar nahi lagta – 4

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *