Lyrics of song

Jo Jalwa Gaahe Yaar Hai

(jo jalwa gaahe yaar hai – 2), woh dil yahi toh hai
jo jalwa gaahe yaar hai, woh dil yahi toh hai
(hum jis jagah hai husn ki – 2) manjil yahi toh hai
jo jalwa gaahe yaar hai

khud ko na dekhana hai tujhe dekhane ki shart – 2
jo darmiya hijaab hai – 2 haayal yahi toh hai
jo jalwa gaahe yaar hai, woh dil yahi toh hai
jo jalwa gaahe yaar hai

(har jaraa dil fareb hai – 2), har jalwa jaanawaaj
har jaraa dil fareb hai, har jalwa jaanawaaj
(har gaam pe gumaah hai – 2),  ke manjil yahi toh hai
jo jalwa gaahe yaar hai, woh dil yahi toh hai

halaki si ek mauje tabssum mein bah gaya – 2
(jo bahere bekanaar tha – 2), woh dil yahi toh hai
jo jalwa gaahe yaar hai

abb har adaaye husn pe hota hai yeh gumaah – 2
(jo loot le gaya hai – 2), mera dil yahi toh hai
jo jalwa gaahe yaar hai, woh dil yahi toh hai
jo jalwa gaahe yaar hai

dil mujhse keh raha hai tere dil ki baat bhi – 2
(aayina aayine ke – 2) mukaabil yahi toh hai
jo jalwa gaahe yaar hai, woh dil yahi toh hai

dono jahaan ko teri muhabbat mein bhulana – 2
(ik baat yaad rakhane ke – 2), kaabil yahi toh hai
jo jalwa gaahe yaar hai, woh dil yahi toh hai
jo jalwa gaahe yaar hai

ai dosto jaheen ko pehchaanata hoon main – 2
(sabse alag jo sab mein hai – 2) shaamil yahi toh hai
jo jalwa gaahe yaar hai, woh dil yahi toh hai – 2
hum jis jagah hai husn ki manjil yahi toh hai
jo jalwa gaahe yaar hai – 3

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *