Lyrics of song

Madinewale Se Mera Salaam Kehna

na zarro zaye mustufa dhundhati hai
daya re rasoole khuda dhundhati hai
mubarak ho tum sabko hajj ka mahina -2
na thi meri kismat ke dekhu madina
madina wale se – 2 mera salam kehna
madina wale se mera salam kehna
phata mere gam se samandar ka bhi seena – 2
na thi meri kismat ke dekhu madina
madina wale se mera salam kehna – 2

waha koi chhota na koi bada hai
waha har bashar ek tap mein khada hai
waha koi chhota na koi bada hai
waha har bashar ek tap mein khada hai
mohammad ki chaukhat pe jo gir pada hai – 2
usi ka hai marna usi ka hai jeena – 2
na thi meri kismat ke dekhu madina
madina wale se mera salam kehna – 2

bahut duur hoon main – 2 tere asstha se
meri haazari le aatha yahaan se
mujhe baksha de waqt ke imtihaan se
ke majboor hoon main gam-e-do jahaan se
chune gul sabhi ne tere gulsita se
mujhe sirf kaanten mile kyon fiza se
tujhe sab pata hai  kahu kya zubaan se
phakat ek ishaara tu kar de waha se
ke saare hai kismat ke naam meharbaan ke
juda kar na dekh ek bete ko maan se
agar hukm hai maut ka asmaan se
badal de meri jaan meri maan ki jaan se
o shahe-o-alam o shah-e-madina
mubarak ho tum sabko hajj ka mahina -2
na thi meri kismat ke dekhu madina
madina wale se mera salam kehna – 2

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *