Lyrics of song

Na Raja Rahega Na Rani Rahegi

na raja rahega na rani rahegi
yeh duniya hai fani fani rahegi
na jab ek bhi jindgani rahegi
to mati sabhiki kahani kahegi-2
yeh mati sabhi ki kahani kahegi
dikhayegi raNa ke raN ki nishani
kahegi shivaji ke praN ki kahani
batlayegi muglo ki baate ajani
us gadar jaychand ki jindagani
yeh aapas ki sab badgumani kahegi
yeh mati sabhi ki kahani kahegi
jo the desh dushan gulami ke rahi
lage pharne is vatan par sayahi
videsho ki karne lage vaah vaahi
gaya desh haatho se aayi tabhai
yeh bhar bhar ke aanko mein pani kahegi
yeh mati sabhi ki kahani kahegi
phir svatantra ka esha sangram aaya
ke har aadmi desh ke kaam aaya
ladi vir  janshi ki rani bhavani
hajaro ne lakho ne johar jalaya
yeh kurbaniya khud jubani kahegi
yeh mati sabhi ki kahani kahegi
(svatantra sangram nahi vo bagawat thi
mutni yehi itihaas kehta hai)
jala do yeh itihas jhote tumhare
yahan zare zare pe sach hai likha re
julam vo tumhare sitam vo tumhare
karo yaad  uf karnaame vo kare
ke phatar se aanso ki dhara bahegi
yeh mati sabhi ki kahani kahegi
yeh mati hai tabse na jab tum the aaye
yeh mati rahegi na jab tum rahoge
is mati ke niche dabi hai kathaye
yeh khud hi kahegi re tum kya kahoge
zameen aasman tharthaa ke rahegi
yeh mati sabhi ki kahani kahegi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *