Lyrics of song

Pran Piya Pichle Janam Mein

babul sakhiya panghat angna bhoola diya
socho itna pyara kaise
ha ha itna pyara kaise rab ne sajna mila diya
pran piya pichle janam mein maine punya hain kiya kiya
ho pran piya pichle janam maine punya hain maine kiya kiya ho ho
babul sakhiya panghat angna bhoola diya – 2
sochu itna pyara kaise ha ha itna pyara kaise
ha sochu itna pyara kaise rab ne sajna mila diya
ho pran piya pichle janam mein maine punya hain kiya kiya
ho pran piya pichle janam mein tuney punya hain kiya kiya

is ghar ka sharir hu main toh aatma ghar ki kaun hain
jhilmil khushiyo ko apne sang mein laane wala kaun hain
noon tel chulhe ki lakdi kiske dam se sulagte hain
umeedo ke ped pe mere pyar ki chidiya chehakti
mere pran piya – 2 pichle janam mein maine  punya hain kiya kiya
ho pran piya pichle janam mein maine punya hain kiya kiya – 2
kaun banaye jodi kisne rekha hath ki jodi
rab ne banayi jodi teri kateh bhi jaaye na todi

ghar ghar yeh batata ismein rehne wala kaun hain
dehlijo deewaro ko pyar se chune wala kaun hain
kaun hain jiske haath ki karchi daal rasoi mein deti hain
haath hain hot niwale aankh mein bhar bhar prem sanjoti
meri pran piya – 2 pichle janam mein maine punya hain kiya kiya
ho pran piya pichle janam mein tuney punya hain kiya kiya

sabki khushi mein apni khushi hi maannewala kaun hain
choti si choti baat ka dhyaan bhi rakhnewala kaun hain
kisko hain chinta ke mere ghar ki kya jaroorat hain
kasme waade nibhanewala jisko hamse mohabbat
mere pran piya ho mere pran piya
pichle janam mein maine punya hain kiya kiya
ho pran piya pichle janam mein tune punya hain kiya kiya

mere toote buttono ko haath se taanknewala kaun hain
har ek chiz ko waqt pe haath tikanewala kaun hain
kaun hain jiske bina jindagi mujhko adhuri lagti hain
der se sokar kaun woh pyari subah savere jagti hain
tu meri pran piya oh meri pran piya
pichle janam mein maine punya hain kiya kiya
ho pran piya pichle janam mein maine punya hain kiya kiya
babul sakhiya panghat angna bhoola diya – 2
sochu itna pyara kaise ha ha itna pyara ha ha itna pyara
sochu itna pyara kaise rab ne sajna mila diya
ho pran piya pichle janam main punya hain maine kiya kiya
ho pran piya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *