Lyrics of song

Premi Aashiq Aawara

premi, aashiq, aawara
paagal, majnu, deewana
mohabbat ne ye naam hamko diye hain
tumhein jo pasand ho, aji farmana
dil jaana
premi, aashiq, aawara

mehakti jawani, hawa ki rawani
hamein yu na tadpa ke ja
bahaaron ki raani, haseena deewani
na dil aaise dhadaka ke ja
maana hai tu har haseen se haseen
hoga na ham sa bhi dooja kahi
bhanvaraa, chhaliya, harjaai
paagal, majnu, deewana

are nakharewali, na de hamko gaali
hamein tune jaana nahi
gulaabon ki daali, sharaabon ki pyaali
hamein yu jalana nahi
o jaan-e-jaana akadati hai kyon
dil waalo pe yu bigadti hai kyon
dilbar, anaadi, saudaai
paagal, majnu, deewana

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *