Lyrics of song

Suno Raaton Mein

suno raaton mein kya tumhe neend aati hain – 2
judaai meri kya tumhe tadpati hain
badalta hu karwat seetarein geenta hu – 2
tabiyat bin tere bahut ghabrati hain
suno raaton mein kya tumhein neend aati hain
judaai meri kya tumhe tadpati hain

meri in aankho mein tera he chehra hain – 2
zamane ki rasmo ka hampe kyon pehra hain
yeh paagal duniya kyon hamein tarsaati hain – 2
tabiyat bin tere bahut ghabrati hain
suno raaton mein kya tumhein neend aati hain
judaai meri kya tumhe tadpati hain

main teri aankho mein kahi kho jaun na – 2
deewani deewani main kahi ho jaun na
nazar ko tu hi tu nazar ab aati hain  – 2
tabiyat bin tere bahut ghabrati hain
suno raateon mein kya tumhein neend aati hain
judaai meri kya tumhe tadpati hain

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *