Lyrics of song

Tumne Mujhse Prem Jata Kar

tum ne mujh se prem jata kar
duniya se begaana kiya
dil tha ek sukh dukh ka saathi
us ko bhi deewana kiya
tum ne 

dil ka sheesha naajuk sheesha
thes lagi bas choor hua
beeti jo kuch mujh par beeti
logo ne afsaana kiya
tum ne 

ha a a a

tum se jo us din aankh ladi
ab tak na hamaari aankh lagi
dard ka sauda mol liya
sukh chain tumhein nazaraana kiya
tum ne

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *