Lyrics of song
Zindagi Mein Jab Tumhara
anurdha:
zindagi mein jab tumhare gam nahi the
itane tanhaa the ki ham bhi ham nahi the
anuradha:
waqt par jo log kaam aaye hain aksar
ajnabi the, vo mere hamdam nahi the
bhupindar:
besabab tha tera milna rehguzar mein
haadase har mod par kuch kam nahi the
anuradha:
hamne khwaabo mein Khudaa bankar bhi dekha
aap the, baahon mein do aalam nahi the
bhupindar:
saamane deewaar thi Khuddaariyon ki
warna raste pyaar ke purakam nahi the