Lyrics of song

Mere Hamsafar

shaam aayi hai mohabbat ki kahani leke
chaand nikla hai tamanna ki jawani leke
din nikalte hi mujhe durr kahi jaana
aakhri raat ki aakhon mein nishani leke
(mere hamsafar tujhe kya khabar
hai chala kidhar mera karwaa) – 2
jaha maut hi ke hai raaste nahi zindagi ka koi nishaan
hai chala kidhar mera karwaa
mere hamsafar

meri zindagi toh hai raat bhar koi baat sun koi baat kar – 2
meri maut mujhko bula rahi jara chhed de koi dastaan
mere hamsafar

zara aur bhi mere paas aa mujhe dekh dekh ke muskura – 2
ghadi do ghadi ki yeh phursati hai likhi naseeb mein phir kaha
jaha maut hi ke hai raaste nahi zindagi ka koi nishaan
hai chala kidhar mera karwaa
mere hamsafar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *